Hostel men mera Pehla Experience
October 1, 2022•1,358 words
Kuch dino pehle mujhe Navodaya ke office se call ata hai ki tumhara selection ho gaya hai. Yeh news bahut hi jyada unexpected or surprising thi, woh issliye kyunki Navodaya ka selection list nikalne men already bahut late ho chuka tha aur mene ek tarike se hope bhi chod diya tha ki mera selection Navodaya men hoga. To yeh news jab mujhe pata chali, men literally khusi se kudne laga.
Call men unhone pehle admission form ko lene ane ko bola. To uss din mere papa Navodaya Angul pahunche aur admission form le aye. Form ko fill up karne aur sare necessary documents ready karne ke baad 27 September ko men Navodaya Angul men admission ke liye pahuncha. Aur kya bataun, Navodaya ke Gate aur Bahaar se andar ka nazaraa dekhkar kya khusi mili, men yeh bata nahin sakta. Phir ham kuch samay baad Gate men entry kiye. Navodaya men bhi (I LOVE JNV ANGUL) wala structure tha, chaaron taraf plants aur bahut sare buildings the. Men sare chizon ko aakhe phad phad ke dekhne laga.
Phir Office ke bahar bahut samay tak wait karne ke baad hame andar bulaya gaya aur admission process khatam hua. Mujhe Shivalik Sr. house mila aur Class 11 men section A mila. Mujhe hamare Housemaster Ojha sir se milne ke liye kaha gaya. Unhone mujhe apne Hostel tak ka rasta dikhaya. Navodaya men Dormitories hote hain, woh bahut bade bade rooms hote hain jahan par ek baar men 15-20 bacche rehte hain. Mere dormitory men almost har jagah fill up ho gaya tha to mujhe last wala jagah mila. Ek cement se bana bed aur ek ceramic ka slab jisme sab samaan rakh sakte ho, simple structure tha. To mene apna trunk bed ke niche rakha aur do balti (jisme ek men saf-safai ke chizen aur ek toilet ke liye tha) unhe slab ke niche rakh diya. Phir parents chale gaye aur men just ese hi apne jagah par betha tha.
Ab yahan se shuru hoti hai asli kahani, mere hostel ki kahani. Bhai pehli chiz jo mujhe yahan pata chali woh yeh thi ki yahan par civilised discussion nahin hoti hai, yahan normal baaton men bhi maa-behen ki gaalion ka use hota hai. Aur galiyan woh ese gusse men nahin bolte, unka bolne ka style hi esa hai. Yeh baat mujhe pehle hit ki kyunki mere friend circle men ham rarely gali dete the.
Phir pata hai mene kya dekha? Mene woh dekha jo har hostel ki ek tarike se speciality hoti hai... RAGGING. Mene dekha ki ek junior baccha jo sayad class 8-9 ka hoga, use niche girakar, use lat mar kar, uska pant khicha jaa raha tha. Woh chila raha tha ki band karo band karo lekin seniors has has kar use pareshan kar rahe tha. Darawna scene tha...
Uske baad pata hai kya hua? Mujhe ek junior ne ake bola ki bhaiya aapko seniors bula rahe hain. Ab soccho meri halat kya ho rahi hogi. Just kuch minton pehle yeh scene dekha tha aur ab seniors ka bulawa. Men dar-dar ke unke pass gaya. Lekin fortunately kuch serious nahin hua, unhone kuch sawaal puche jese odia ki non-odia? kahan se aye ho? gali-wali dete ho kya? kiss school men padhte the? kota factory dekha hai kya? nahin dekha to kya dekha!!? etc. etc. Phir men apne jagah men wapas aa gaya.
Uske kuch samay baad men lunch karne gaya. Yahan Navodaya men khane ka system pura alag hai. Yahan pehle apna plate select karna padta hai (kyunki juniors ke liye alag plate aur seniors ke liye alag), phir jo tarkari hota hai bas woh parosa jayega, baki rice aur dal tumhe khud parosna hai. Woh ek container men hoga jo row to row pass on kiya jayega. To khana bhi itna khas nahin laga lekin medium level ka tha. Khana khane ke baad plate ko bas haat se todha saaf kar liya aur phir phirse apne jagah men aa gaya.
Todha samay rest kiya aur phir office ko gaya mere naye items lene. Unhone ncert ke sare books, 10 copies, ek gadda, pillow, gadda cover, pillow cover, black shoes, house t-shirt, socks, slippers aur ek towel diya. Han aur ek chiz men bolna bhul gaya, hostel men jab men tha, hamare area ke ek ladke ke saath meri dosti ho gayi, class 10 ka tha woh, uska naam Ayush. To han, mujhe jab itne sare items mile tab unho ek baar men lena possible nahin tha, to mene socha tha ki 2-3 round men sab le lunga. Jese hi men apne items ko lene ke liye ready hua to Ayush aakar mujhe kehta hai, "Are bhaiya! Aap senior ho. Aap todhi na yeh sab kaam karoge. Ruko men 2-3 juniors ko bulata hun woh aapka yeh sab chizen aapke hostel tak le jaegen." Yeh sunkar mujhe ek baat samajh men ayi, aur woh yeh thi ki hostel men Seniors ke pass bahut respect aur bahut power hoti hai. Yeh chiz mene aur bahut jagah men bhi dekhi. Hamare class ke bacche juniors ko pani lene bhej dete the, book-copy le jane ko kehte the, dusre house se bacchon ko bulane ke liye bhejte the etc...
Matlab ki agar tum Senior ho, to tum Juniors se naukar ki tarah kuch bhi kam karwa sakte ho aur woh kaam ushe karna hi padega warna tumhe pata hai kya hoga. Ayush ne mujhe bola ki bhaiya Navodaya men 11 class raj karti hain kyunki 12th class ka to board hai to woh jyada padhai men dhyan dete hain aur sara power Class 11 ke pass hi hota hai. To yeh sunkar mujhe mere class ki ehemiyat samajh men ayi.
Wese ek baat achi lagi, 12th class ke bhaiya ke saath mene bahut baat kiya, unhone bahut tips diye aur bahut sare baaten boli surrounding aur environment ke ware men. Yeh mujhe acha laga.
Us din shaam ko pehle prayer hua aur phir supervision class hua, dono hi jagah 11th class ke bacche bandaron jese shoor kar rahe the. Unhe teachers bhi jyada kuch bol nahin rahe the kyunki ab woh karen to karen kya bole to bole kya. Phir raat ko hamara dinner hua aur phir ham sab hostel men aakar so gaye.
Dusre din mera exam tha, to meri aankh automatically subah ke 4:30 men khul gayi. Men utha to dekha ki 2-3 bacche padh rahe hain to men bhi padhne lag gaya. Aur mujhe phir yeh pata chala ki agar tum jaldi uth gaye ho, to apne subah ke kaam jaldi kar dena chahiye, jese toilet jana, brush karna aur nahana kyunki agar yeh sab kaam tum late men karoge to bahut rush hoga aur tum ache se kaam nahin kar paoge. Dusre din mere saath yehi hua, men toilet men betha aur dusre taraf ek ladka door ko knock karke bolta hai "Are jaldi nikal, joor ki lagi hai." Aur yahan men yeh baat kehna chahta hun ki hamare dormitory men toilet to 6 the, lekin bas 2 men hi doors lage the! Matlab men kya hi bolun! Aur doors bhi khud baachon ne hi toda tha. Matlab hadd karte ho yaar!!!
Ek din shaam ke 3 baje sab bacche so rahe the, to men uss samay pure School ko ghuma. Sare jagah dekhe. Jese Administrative cum Classroom block hai, ek sundar sa garden hain, staff ke liye alag quaters hain, boys ke liye alag hostel aur girls ke liye alag, beech men dining hall (mess) hai, ek bahut bada playground hai aur charon house (Aravali, Nilgiri, Shivalik, Udaigiri) ke alag alag hostel buildings hain, juniors ke alag, seniors ke alag.
To basically mene inn 4 dino men exams diya aur mujhe yeh sab chizen dekhne ka mauka mila. Men already bahut kuch likh chuka hun, aur mujhe lagta bhi nahin hai ki koi itna sara chizen padhne ki patience rakhega, lekin bas apne thoughts aur experiences men share kar raha tha. Abhi kuch hafton ki chutti mili hai, phir 26 tarikh ko phir Hostel jaugan to aur bhi chizen seekhne aur jaane ko milengi.
To end men Rahul Gandhi ki awaaz men bolna chahta hun... "Maza Aya"