Bolne Do
May 30, 2022•137 words
Inspiration gai bahaar mai
Jab se nikli mai pahaar pe
Nahi hoti aaj kal bezaar mai
Kalla khuda se, aur kallakaar mai
I hunt pigeons for peace
I look for light in trees
May god safe us from disease
And guard us against Iblees
Sarial se chehray dikhay rozana
Ab toh ye qissa bhi hochuka purana
Sab dekhein mujhe, mai dhoondo bahana
Sach boloon ya gaoun koi gaana?
Mai khud se anjaan,
Ek karavan pe rawaan
Lagta hai sab sunsaan
Nahi ab dil mai koi jaan
Bharosa rakh, dil ko mazboot kar
Pehlay jalte ghar phr kattey jarr
Naumeedi key marz mai mubtala
Bhool chukay hain sharm o haya
Ye kuch ajeeb sa hai silsala
Sab se karti rehti hoon ye gila
Jeenay do, khwabon ko pironey do
Jo hona hai honay do, bus mujhe bolney do