Park Rhymes - Day 21

Kuch toh kaam karogey
Khud hi se jang larogey
Meray ird gird hain laachar se chechray
Le rahein hain saansein not so gehray

Darakhton ke beech mai, I shine
Like needles on a pine
Kehtay hain, tum ho full baaghi
Karti ho tum ghustaakhi
Tum ho jaam, aur mai hoon saaki
So let me show up high-key

Kapray bhi hain shokhay se
Rang bhi hain anokhay se
But when I walk on the track
Don't get a heart attack

Itna damm nahi mujh mai
Jitna kam hai tujh mai
Samandar paar kar ke bhi maine ghussa dekha nahi gham mai
Zindagi mai hain sitam
But you don't gotta run

Face the demons on your own,
Kyunke din-ba-din ye kartay clone
You know you're living in the same civilization
With war, terror, and institutionalized racism
Discrimination, emasculation, and defeminization
& incarcerated people walking freely outta station

Park mai chalti arahi hai ek khatoon
Dekhti mujhe jaisey mai lagti ek cartoon
Dog walkers in this park,
Lighting up this dark path
Sutta baazi yahan hai aam
Sharab peena full haraam

I still feel the pain in my knees
Sab bulatay hain mujhe badtameez
But I just wanna breathe freely
In this dream-like reality
But people don't wanna see me,
They wanna see a fictional identity

Kitnay nazariye mai sunoon? I don't get these riwaaj
Ghut ghut jee ke bhi, I don't belong in this samaaj
Barricaded hai entry,
This mulk be only for the gentry
Kuch bhi feel karo toh boltay, stop being so senti

Kitna dekhein ge ye baar baar?
Kab sar mor ke jayeingey ye sarak ke paar?
I feel so sick
Like the brick that fell into abyss
Dewaar ko karo paar,
But don't forget your dhoti shalwar

Bhool chukein hain sab sansaar
Pee rahein hain tar pe tar
Mai toh pakray huay guitar
Gaa rahi gaanay ek hazaar
But now I'm skipping this bar

Mun ko chupaana hai because I'm feeling lachaar
In front of this male fucking hedonistic parchaar

Two women on the pathway, unn ke joray hain pink
Dhaabay pe khaaney jaate samosay aur chai to drink
Chai mai cheeni bhi dabaa ke, but hey, don't wink
Saamney table pe hain boys
Who think these girls are just toys
So don't make eye contact, cuz they won't blink
Agar sabak hai sikhana, forget it, don't act like their shrink

Kehtay, ye zamana nahi badlay ga,
The society's set in stone
Boys will be boys, and for their sins girls will atone
Ring ring on the phone, crank caller fucks your zone
Ab karo inko ignore, until you buy a new cellphone

Dost ki shaadi pe daalo gi luddi
But don't let them see you in a laal hoodie
Shokheelay rang on your badan
Might catch them slippin' and make you run

How about you teach your sons some tameez,
Instead of calling your daughters badtameez?
Tum tokti kyun nahi, jab woh kartey hain aurat ko ghaleez?
Batao na, am I khabees?
For trying to escape this widespread disease?
Because it runs in this place, as it does overseas

Spotlight's on me when I walk on this path
Ghalti bhi meri because mai nahi aai kisi ke saath
Company bhi ho toh teen se chaar boys le ke aao
Otherwise iss gender se tum nijaat paao
What a mind-bender,
Izzat toh haasil bhi nahi for a transgender!

Kisi ko chora bhi nahi
Bus dil hai tora hi sahi
Insaaniat ko chorr ke hain haiwaniat pe majboor
But kaheen nazar hi na lag jaye, boltey Faris hazoor

Too much greed in this place
Everyone's running at a fast pace
Case pe case hain ye chalatay
But their own sins they cannot face

Lekin choro ye sab na-umeedi ki baatein
Aao ab hum pur-umeedi ki tarf hain jaatay


You'll only receive email when they publish something new.

More from Nida Q Khan • ندا قاسم خان
All posts