Chitral ka dhun - Day 41

Chitral mai gaye hum bazaar,
Le kar aye phal beshumar
Wahan zindagi nahi tez raftaar
Paharon se hoti nahi mai bezaar

Log kaam se hain bhaagtay
Aur roz chill karna chahtay
Chitrali toh boltay bhi hain gaa key
Sarkon pe sab se milna chahtey

Pahari hai ye ilaka
Khaana milta hai ussi season ka
Tirich Mir dikhta hai roz jaisey ho koi apna
Aankon ke saamnay ho ker bhi lagta hai ye sapna

Bazaar mai phirti larkian Kalashi
Dukaandar kabhi Pathan kabhi Chitrali
Sabz chaye banatay hain bemisali
Aur jo bhi ho, yahan ke log nahi hain jaali


You'll only receive email when they publish something new.

More from Nida Q Khan • ندا قاسم خان
All posts