Ek nazaria - Day 72
April 23, 2022•193 words
Chalo meray doston, aao agay barhay
Iss mulk ko taraki ki tarf le kar chalein
Tang nazarion ko ab side pe karein
Larai chor de, aao ab mil ker parhein
Ek naya nazaria hai meray saamnay
Iss ko apnah ke kam hon gey faaslay
Humaray log bhi toh hain achay khaasay
Humein mauka toh doh, aazma ke dekh le
Field pe achay, Pakistan ke bachay
Log bhi achay, par bojh hai ye kharchay
Sab ko chahiye mauka ke woh khul ke hans le
Majboor hain sab, phr bhi umeed hain rakhtey
Ye kaisa imaan hai ke roz hain khud se lartey
Aur bharosa hai khuda pe, ye afsos nai kartay
Khamian bhi hain, iss ghareeb se mulk mai
Pareshanian bari hain iss kaum ki, sach mai
Ek nazariay pe bana hua hai ye mulk,
Lekin nazariye sey ab door hai ye khalq
Nazariye se pehlay mulk ko chahiye khoraak
Jab tak log hon majboor, nai hoga mulk Paak
Lekin Europe pe bhi guzri thi tareek ek daur
Aaj socha bhi nahi jaata ke Europe ho be-taur
Sirf wakt hi ki baat hai, niyyat aur yakeen,
Akhir hum hi toh hain Iqbal key Shaheen