Apna Afsana - Day 93
May 15, 2022•183 words
Mera kaam hai deep,
Learning curve bhi steep
Karoon mai saath upkeep
Chaloun mai apni jeep
Ab lena hai ek leap,
Ek imaan ka leap
Chorna hai peechay defeat
Agay barhna hai, not retreat
Log mashwaray detay hain ek hazaar,
Lekin ye rasta hai mera, samajh jao ek baar
Baat be baat, aur doubts ka bahaar
Doubts chor ke ab nahi rehna lachaar
Pehnna hai mujhe naya fashion
Jo ho without such distraction
Gehrai mai jaana hai, nahi rehna ab shallow
Social media walon ko mera salaam, hello
Kya feed pe feed dikha ke milegi satisfaction?
Mujhe toh lagta hai ke it just leads to a lack of action
Dimagh bhi farigh, ab surface pe hi rehta
Phone ke saath so ke uthta hai, woh kehta
Kehta hai sach, yehi hai hakeekat
Phone mai masroof, kahan gayi life ki lazzat?
Apni kahani pe ghor karney key bajaye
Amir Liaquat ki kahani pe karna hai huu haye
Jeena hai toh sachay dil ke saath
Saaf imaan aur umeed le ke saath
Negativity se door hai ab jaana mujhe
Kyunke likhna hai apna afsana mujhe