Niyyat aur Mehnat - Day 97
May 18, 2022•118 words
Meray dost key mutabik success ka hai ek hi formula,
Niyyat + mehnat, aur baaki Khuda pe karna bharosa
Raastay namumkin, phr raaston ka khul jana
Takleefein beshumar, unka himmat mai badal jana
Jo pehlay tha ojhal,
Woh baad mai hoga numayan
Imaan ka rasta hai bojhal,
Lekin banna hai apney aap key hi shaayan
Saaf niyaat ke saath agay barho,
Jawab na hotay huay bhi faisla karo
Phr mehnat ke saath apna jang laro
Kya yehi nahi jihad, inn signs ko parho
Inn dono ko le kar ab yakeen karna seekho,
Anjaam najaantay huay bhi dil ko bol key theek ho
Dil pe haath rakh key, saansein lo gehri,
Apnay nazariay ko badlo, jab tak ho sunehri